Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bagh-e-jahan ke sada jamalon se ishq hai

Khurshidul islam

bagh-e-jahan ke sada jamalon se ishq hai

Khurshidul islam

MORE BYKhurshidul islam

    bāġh-e-jahāñ ke saada jamāloñ se ishq hai

    sabze se gul se sarv se lāloñ se ishq hai

    haañ ḳhār-o-ḳhas se dil ko ilāqa hai paas

    haañ is chaman ke taaza nihāloñ se ishq hai

    saada guftugū ke ḳham-o-pech haiñ aziiz

    ḳhāmoshiyoñ ke garm maqāloñ se ishq hai

    jo bā-hunar haiñ un ke qadam chūmte haiñ ham

    jo be-hunar haiñ un ke kamāloñ se ishq hai

    būḌhoñ ke paara paara azā.em hai malāl

    bachchoñ ke taaza taaza savāloñ se ishq hai

    har be-navā faqīr ko dete haiñ ḳhūn-e-dil

    har ḳhush-navā faqīr ke nāloñ se ishq hai

    sāre-jahāñ ke talḳh-navāoñ se hai niyāz

    sāre-jahāñ shīrīñ-maqāloñ se ishq hai

    kufr-o-dīñ ke jānñe vāloñ se kyā ġharaz

    yaañ kufr-o-dīñ ke mānñe vāloñ se ishq hai

    bagh-e-jahan ke sada jamalon se ishq hai

    sabze se gul se sarw se lalon se ishq hai

    han KHar-o-KHas se dil ko ilaqa hai pas ka

    han is chaman ke taza nihaalon se ishq hai

    sada si guftugu ke KHam-o-pech hain aziz

    KHamoshiyon ke garm maqalon se ishq hai

    jo ba-hunar hain un ke qadam chumte hain hum

    jo be-hunar hain un ke kamalon se ishq hai

    buDhon ke para para azaem ka hai malal

    bachchon ke taza taza sawalon se ishq hai

    har be-nawa faqir ko dete hain KHun-e-dil

    har KHush-nawa faqir ke nalon se ishq hai

    sare-jahan ke talKH-nawaon se hai niyaz

    sare-jahan ki shirin-maqalon se ishq hai

    ya kufr-o-din ke jaanne walon se kya gharaz

    yan kufr-o-din ke manne walon se ishq hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now