Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bagh ka bagh ujaD gaya koi kaho pukar kar

Shahzad Ahmad

bagh ka bagh ujaD gaya koi kaho pukar kar

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    baaġh baaġh ujaḌ gayā koī kaho pukār kar

    kis ne shafaq pe mal diye phūloñ ke rañg utaar kar

    shaam ko mauja-e-havā jānib-e-dasht le uḌe

    sub.h chaman meñ aa ga.e ḳhaak pe shab guzār kar

    sāya-e-āftāb meñ barg o sharar ThiThur ga.e

    barf kahāñ se aa ga.ī dhuup ruup dhaar kar

    paas manzil-e-murād ḳhaak meñ thī chhupī huī

    raah meñ pā-burīda log baiTh chuke the haar kar

    aaj tire ḳhayāl se dil ko bahut sakūñ milā

    Duub chalī ye mauj bhī mujh ko ubhār ubhār kar

    jalva-e-māhtāb bhī sho.abada-e-ḳhayāl hai

    raat ke paas kuchh nahīñ sub.h intizār kar

    valvala-e-hayāt ke dil meñ ka.ī charāg the

    vaqt ne sab bujhā diye ek phūñk maar kar

    bagh ka bagh ujaD gaya koi kaho pukar kar

    kis ne shafaq pe mal diye phulon ke rang utar kar

    sham ko mauja-e-hawa jaanib-e-dasht le uDe

    subh chaman mein aa gae KHak pe shab guzar kar

    saya-e-aftab mein barg o sharar ThiThur gae

    barf kahan se aa gai dhup ka rup dhaar kar

    pas hi manzil-e-murad KHak mein thi chhupi hui

    rah mein pa-burida log baiTh chuke the haar kar

    aaj tere KHayal se dil ko bahut sakun mila

    Dub chali ye mauj bhi mujh ko ubhaar ubhaar kar

    jalwa-e-mahtab bhi shoabada-e-KHayal hai

    raat ke pas kuchh nahin subh ka intizar kar

    walwala-e-hayat ke dil mein kai charag the

    waqt ne sab bujha diye ek hi phunk mar kar

    Source :
    • Book : Deewar pe dastak (Pg. 55)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now