bagh mein dekh rahe hain ye kaise pyar se aap
baaġh meñ dekh rahe haiñ ye kaise pyaar se aap
chheḌ karte haiñ abas nargis-e-bīmār se aap
aa.e bālīñ pe bhī merī to nazar phere hue
itnā parhez na kiije kisī bīmār se aap
chheḌnā tāla-e-bedār kā achchhā to nahīñ
ḳhvāb meñ aa ke jagā.eñ na mujhe pyaar se aap
shoḳhiyāñ baḌh ke zarā un kī hayā se kah deñ
parda kiije na kisī tālib-e-dīdār se aap
ghar meñ kyoñ chain se baiThā nahīñ jaatā 'safdar'
mol le aa.e haiñ saudā koī bāzār se aap
bagh mein dekh rahe hain ye kaise pyar se aap
chheD karte hain abas nargis-e-bimar se aap
aae baalin pe bhi meri to nazar phere hue
itna parhez na kije kisi bimar se aap
chheDna tala-e-bedar ka achchha to nahin
KHwab mein aa ke jagaen na mujhe pyar se aap
shoKHiyan baDh ke zara un ki haya se kah den
parda kije na kisi talib-e-didar se aap
ghar mein kyon chain se baiTha nahin jata 'safdar'
mol le aae hain sauda koi bazar se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.