bagh mein rah ke bahaaron ko nibhana hoga
baaġh meñ rah ke bahāroñ ko nibhānā hogā
apnī rūThī huī ḳhushiyoñ ko manānā hogā
toḌnā hogā chhalakte hue sāġhar kā ġhurūr
bin piye bazm ko ab rañg pe aanā hogā
Dhālnī hogī usī raat ke dāman se sahar
TuuTe tāroñ ko ziyā-bār banānā hogā
thāmnī hoñ jo tujhe vaqt kī nabzeñ hamdam
uḌte lamhoñ pe koī naqsh jamānā hogā
in charāġhoñ meñ bhaḌak uTThe haiñ sho.ale 'anjum'
apnī rātoñ meñ diyā aur jalānā hogā
bagh mein rah ke bahaaron ko nibhana hoga
apni ruThi hui KHushiyon ko manana hoga
toDna hoga chhalakte hue saghar ka ghurur
bin piye bazm ko ab rang pe aana hoga
Dhaalni hogi usi raat ke daman se sahar
TuTe taron ko ziya-bar banana hoga
thamni hon jo tujhe waqt ki nabzen hamdam
uDte lamhon pe koi naqsh jamana hoga
in charaghon mein bhaDak uTThe hain shoale 'anjum'
apni raaton mein diya aur jalana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.