bagh patjhaD mein bayaban bhi ho jata hai
baaġh patjhaḌ meñ bayābāñ bhī ho jaatā hai
dil jo ābād hai vīrān bhī ho jaatā hai
raat kyoñ ḳhauf ke saa.e meñ guzārī jaa.e
vo jo honā ho kisī aan bhī ho jaatā hai
ibn-e-ādam hai ise jāñch parakh le pahle
ye jo darvesh hai sultān bhī ho jaatā hai
is qadar ranj mirī jaan ḳhasāre pe na kar
fā.ede meñ kabhī nuqsān bhī ho jaatā hai
dil vo rasta hai jahāñ rahtī hai raunaq din bhar
shaam hotī hai to sunsān bhī ho jaatā hai
bagh patjhaD mein bayaban bhi ho jata hai
dil jo aabaad hai viran bhi ho jata hai
raat kyon KHauf ke sae mein guzari jae
wo jo hona ho kisi aan bhi ho jata hai
ibn-e-adam hai ise jaanch parakh le pahle
ye jo darwesh hai sultan bhi ho jata hai
is qadar ranj meri jaan KHasare pe na kar
faede mein kabhi nuqsan bhi ho jata hai
dil wo rasta hai jahan rahti hai raunaq din bhar
sham hoti hai to sunsan bhi ho jata hai
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 65)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.