bagh taraj baghban ghaeb
baaġh tārāj bāġhbāñ ġhā.eb
shāḳh maujūd āshiyāñ ġhā.eb
jis ne sochā thā haq kī baat kare
us ke muñh se huī zabāñ ġhā.eb
hausla in ḳhalā-navardoñ kā
sar se kar degā āsmāñ ġhā.eb
kyā huā hai mushā.eron kā haal
log hāzir haiñ qadr-dāñ ġhā.eb
shakl kyā ho ga.ī fasānoñ kī
lafz hāzir haiñ dāstāñ ġhā.eb
jang shāyad chhiḌī hai shahroñ meñ
piir maujūd naujavāñ ġhā.eb
pī rahe the jo mere saath abhī
yaar vo ho ga.e kahāñ ġhā.eb
mo.ajiza dekhiye siyāsat kā
ghar sulagte haiñ aur dhuāñ ġhā.eb
bagh taraj baghban ghaeb
shaKH maujud aashiyan ghaeb
jis ne socha tha haq ki baat kare
us ke munh se hui zaban ghaeb
hausla in KHala-nawardon ka
sar se kar dega aasman ghaeb
kya hua hai mushaeron ka haal
log hazir hain qadr-dan ghaeb
shakl kya ho gai fasanon ki
lafz hazir hain dastan ghaeb
jang shayad chhiDi hai shahron mein
pir maujud naujawan ghaeb
pi rahe the jo mere sath abhi
yar wo ho gae kahan ghaeb
moajiza dekhiye siyasat ka
ghar sulagte hain aur dhuan ghaeb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.