baghban itna to nadan nahin ho sakta
bāġhbāñ itnā to nādān nahīñ ho saktā
koī ik phuul gulistān nahīñ ho saktā
aur bhī logoñ kī ummīdeñ haiñ mujh se so maiñ
kaam aa saktā huuñ qurbān nahīñ ho saktā
bārhā āñkhoñ ne dekhā hai vahī sab hote
jis kā sunte the ki imkān nahīñ ho saktā
koī qissa ho mire dost adhūrā na sunā
shahr ik din meñ bayābān nahīñ ho saktā
sair-e-duniyā se bharam hotā hai āzādī kā
jis meñ vus'at ho vo zindān nahīñ ho saktā
aisā āsān hadaf sab kī nazar ho jis par
kuchh bhī ho saktā hai āsān nahīñ ho saktā
jise dekho vahī sahrā kā talabgār hai ab
itnā dilkash hai to vīrān nahīñ ho saktā
baghban itna to nadan nahin ho sakta
koi ek phul gulistan nahin ho sakta
aur bhi logon ki ummiden hain mujh se so main
kaam aa sakta hun qurban nahin ho sakta
barha aankhon ne dekha hai wahi sab hote
jis ka sunte the ki imkan nahin ho sakta
koi qissa ho mere dost adhura na suna
shahr ek din mein bayaban nahin ho sakta
sair-e-duniya se bharam hota hai aazadi ka
jis mein wus'at ho wo zindan nahin ho sakta
aisa aasan hadaf sab ki nazar ho jis par
kuchh bhi ho sakta hai aasan nahin ho sakta
jise dekho wahi sahra ka talabgar hai ab
itna dilkash hai to viran nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.