baghban par zor chalta hai na kuchh sayyaad par
baghban par zor chalta hai na kuchh sayyaad par
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
bāġhbāñ par zor chaltā hai na kuchh sayyād par
saḳhtiyāñ kartā huuñ maiñ apne dil-e-nāshād par
un kā ro denā mazār-e-kushta-e-bedād par
abr-e-naisāñ kī hai bārish gulshan-e-barbād par
vo bhī haiñ afsurda marg-e-āshiq-e-nāshād par
kahne vaalā kaun hai ab marhabā bedād par
kis giraftār-e-qafas kī āh-e-ātish-bār se
bijliyāñ girne lagī haiñ ḳhāna-e-sayyād par
un se kyā zikr-e-talātum-ḳhezī-e-dariyā-e-ishq
jo tule baiThe hoñ nāseh harche bādā-bād par
yā ḳhayāl-e-abrū-e-ḳhūbāñ se dil ko baaz rakh
yā rag-e-gardan ko rakh de ḳhanjar-e-faulād par
ishq-e-sādiq ko gavārā kyuuñ huā kyūñ-kar huā
hīla-e-parvez ġhālib taisha-e-farhād par
ba.ad murdan ruuh tere ḳhānamāñ-barbād kī
hogī āvāra fazā-e-nik.hat-e-barbād par
halqa-e-dām-e-alā.eq band-e-mazhab qaid-e-nang
kis qadar pābandiyāñ haiñ fitrat-e-āzād par
is qadar baḌhte ga.e qisse ki daftar ho ga.e
hāshiye chaḌhte ga.e ai dil tirī rūdād par
nāla-kash ho gar tirā ġham-dīda-e-hijrāñ-nasīb
fitna-e-shor-e-qayāmat chauñk uThe fariyād par
is meñ ai me.amār-e-hastī maslahat thī kaun sī
aisā qasr-e-ḳhushnumā aur ret kī buniyād par
yaad jis kī dil kā mere haal kar detī hai ġhair
dil mujhe majbūr kartā hai usī kī yaad par
dafn hai hindostāñ kī is meñ tahzīb-e-qadīm
phuul barsā ai sabā ḳhāk-e-jahān-ābād par
dil hai be-zauq-e-ġhazal 'mahrūm' lekin chand sher
likh diye haiñ hazrat-e-'armān' ke irshād par
baghban par zor chalta hai na kuchh sayyaad par
saKHtiyan karta hun main apne dil-e-nashad par
un ka ro dena mazar-e-kushta-e-bedad par
abr-e-naisan ki hai barish gulshan-e-barbaad par
wo bhi hain afsurda marg-e-ashiq-e-nashad par
kahne wala kaun hai ab marhaba bedad par
kis giraftar-e-qafas ki aah-e-atish-bar se
bijliyan girne lagi hain KHana-e-sayyaad par
un se kya zikr-e-talatum-KHezi-e-dariya-e-ishq
jo tule baiThe hon naseh harche baada-baad par
ya KHayal-e-abru-e-KHuban se dil ko baz rakh
ya rag-e-gardan ko rakh de KHanjar-e-faulad par
ishq-e-sadiq ko gawara kyun hua kyun-kar hua
hila-e-parwez ghaalib taisha-e-farhad par
baad murdan ruh tere KHanaman-barbaad ki
hogi aawara faza-e-nikhat-e-barbaad par
halqa-e-dam-e-alaeq band-e-mazhab qaid-e-nang
kis qadar pabandiyan hain fitrat-e-azad par
is qadar baDhte gae qisse ki daftar ho gae
hashiye chaDhte gae ai dil teri rudad par
nala-kash ho gar tera gham-dida-e-hijran-nasib
fitna-e-shor-e-qayamat chaunk uThe fariyaad par
is mein ai meamar-e-hasti maslahat thi kaun si
aisa qasr-e-KHushnuma aur ret ki buniyaad par
yaad jis ki dil ka mere haal kar deti hai ghair
dil mujhe majbur karta hai usi ki yaad par
dafn hai hindostan ki is mein tahzib-e-qadim
phul barsa ai saba KHak-e-jahan-abaad par
dil hai be-zauq-e-ghazal 'mahrum' lekin chand sher
likh diye hain hazrat-e-'arman' ke irshad par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.