baghbani ke usulon ko nahin chhoDa hai
bāġhbānī ke usūloñ ko nahīñ chhoḌā hai
rang-o-bū dekh ke phūloñ ko nahīñ chhoḌā hai
kam se kam chhāñv to hogī hī daraḳhtoñ ke tale
soch kar ham ne babūloñ ko nahīñ chhoḌā hai
aadmī aadmī ko samjhe yahī kaafī hai
varna insāñ ne rasūloñ ko nahīñ chhoḌā hai
rābta sab se banāyā hai tire kūche meñ
be-sabab ke bhī fuzūloñ ko nahīñ chhoḌā hai
saath chalne kā sabaq yaad rakhā hai ham ne
raah bhaTke hue bhūloñ ko nahīñ chhoḌā hai
baghbani ke usulon ko nahin chhoDa hai
rang-o-bu dekh ke phulon ko nahin chhoDa hai
kam se kam chhanw to hogi hi daraKHton ke tale
soch kar hum ne babulon ko nahin chhoDa hai
aadmi aadmi ko samjhe yahi kafi hai
warna insan ne rasulon ko nahin chhoDa hai
rabta sab se banaya hai tere kuche mein
be-sabab ke bhi fuzulon ko nahin chhoDa hai
sath chalne ka sabaq yaad rakha hai hum ne
rah bhaTke hue bhulon ko nahin chhoDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.