bahar bahar dekh chuka to ab kuchh apne andar dekh
bāhar bāhar dekh chukā to ab kuchh apne andar dekh
nazzāre kā lutf yahī hai alag alag har manzar dekh
uupar uupar bahtā paanī nīche nīche aag dabī
jaltī bujhtī aag ke andar sahrā dekh samundar dekh
aag pe chalnā daar pe chalnā din ke nagar kā qissa ye
shab kī kahānī ye ki badan par be-ḳhvābī kī chādar dekh
raste baste ghar hī nahīñ ābād hai saarā shahar magar
ik āsebī sannāTā hai andar dekh ki bāhar dekh
ghar vaale bezār gharoñ se diloñ se ġhā.eb dildārī
yahī tamāshā apne ghar meñ yahī tamāshā ghar ghar dekh
kuchh kuchh aañkh meñ dard chhupā.e kuchh kuchh dil meñ Dartā sā
aas kī sūkhī shāḳh pe baiThā ek parinda be-par dekh
apnā apnā sar kāñdhe par sar par apnā apnā bojh
duniyā ghar kā bojh uThā.e mujh ko dekh sarāsar dekh
bahar bahar dekh chuka to ab kuchh apne andar dekh
nazzare ka lutf yahi hai alag alag har manzar dekh
upar upar bahta pani niche niche aag dabi
jalti bujhti aag ke andar sahra dekh samundar dekh
aag pe chalna dar pe chalna din ke nagar ka qissa ye
shab ki kahani ye ki badan par be-KHwabi ki chadar dekh
raste baste ghar hi nahin aabaad hai sara shahar magar
ek aasebi sannaTa hai andar dekh ki bahar dekh
ghar wale bezar gharon se dilon se ghaeb dildari
yahi tamasha apne ghar mein yahi tamasha ghar ghar dekh
kuchh kuchh aankh mein dard chhupae kuchh kuchh dil mein Darta sa
aas ki sukhi shaKH pe baiTha ek parinda be-par dekh
apna apna sar kandhe par sar par apna apna bojh
duniya ghar ka bojh uThae mujh ko dekh sarasar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.