bahar giraft-e-KHwab se aaya to Dar gaya
bāhar giraft-e-ḳhvāb se aayā to Dar gayā
ik aa.ine ko sāmne paayā to Dar gayā
bikhrā huā paḌā thā magar mutma.in thā maiñ
TukḌoñ ko jab shumār meñ laayā to Dar gayā
be-ḳhauf baḌh rahā thā sitāroñ kī samt maiñ
us ne safar meñ haath chhuḌāyā to Dar gayā
dil-bastagī ke vāste aayā thā sair ko
jangal ne apnā haal sunāyā to Dar gayā
maiñ tīrgī meñ ġharq thā aur mujh meñ tīrgī
us ne diyā uThā ke jalāyā to Dar gayā
kūza-garī pe naaz thā us kī bahut magar
'ādil' jab us ne chaak ghumāyā to Dar gayā
bahar giraft-e-KHwab se aaya to Dar gaya
ek aaine ko samne paya to Dar gaya
bikhra hua paDa tha magar mutmain tha main
TukDon ko jab shumar mein laya to Dar gaya
be-KHauf baDh raha tha sitaron ki samt main
us ne safar mein hath chhuDaya to Dar gaya
dil-bastagi ke waste aaya tha sair ko
jangal ne apna haal sunaya to Dar gaya
main tirgi mein gharq tha aur mujh mein tirgi
us ne diya uTha ke jalaya to Dar gaya
kuza-gari pe naz tha us ki bahut magar
'adil' jab us ne chaak ghumaya to Dar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.