bahar ka mahaul to hum ko aksar achchha lagta hai
bāhar kā māhaul to ham ko aksar achchhā lagtā hai
shaam se ik din ghar meñ rah kar dekheñ kaisā lagtā hai
kis kī yādeñ kis ke chehre ugte haiñ tanhā.ī meñ
āñgan kī dīvāroñ par kuchh saaya saaya lagtā hai
jismoñ ke is jañgal meñ bas ek hī rām-kahānī hai
ġhaur se dekho to har chehra apnā chehrā lagtā hai
mausam kī ayyāsh havā ne kachche phal bhī toḌ liye
shāḳh pe larzāñ pattā pattā sahmā sahmā lagtā hai
daana daana daam lagā hai jaal bichhā hai paanī par
hā.e-re ye ma.asūm kabūtar kitnā bholā lagtā hai
surḳh parinda Duub rahā hai kaalī jhiil ke paanī meñ
sach kahnā ai sāhil vaalo tum ko kaisā lagtā hai
saa.e kī ummīd na rakhiye patthar kī chaTTānoñ se
bosīda dīvār kā saaya phir bhī saaya lagtā hai
mahrūmī kī tasvīreñ bhī kitnī dil-kash hotī haiñ
thak kar sone vaale ko har ḳhvāb sunahrā lagtā hai
uḌ ke parinde paar na paa.eñ shaam ko thak kar lauT aa.eñ
'hosh' mujhe ye saarā aalam ek jazīra lagtā hai
bahar ka mahaul to hum ko aksar achchha lagta hai
sham se ek din ghar mein rah kar dekhen kaisa lagta hai
kis ki yaaden kis ke chehre ugte hain tanhai mein
aangan ki diwaron par kuchh saya saya lagta hai
jismon ke is jangal mein bas ek hi ram-kahani hai
ghaur se dekho to har chehra apna chehra lagta hai
mausam ki ayyash hawa ne kachche phal bhi toD liye
shaKH pe larzan patta patta sahma sahma lagta hai
dana dana dam laga hai jal bichha hai pani par
hae-re ye masum kabutar kitna bhola lagta hai
surKH parinda Dub raha hai kali jhil ke pani mein
sach kahna ai sahil walo tum ko kaisa lagta hai
sae ki ummid na rakhiye patthar ki chaTTanon se
bosida diwar ka saya phir bhi saya lagta hai
mahrumi ki taswiren bhi kitni dil-kash hoti hain
thak kar sone wale ko har KHwab sunahra lagta hai
uD ke parinde par na paen sham ko thak kar lauT aaen
'hosh' mujhe ye sara aalam ek jazira lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.