bahar KHala hai zat ke andar bhi kuchh nahin
bāhar ḳhalā hai zaat ke andar bhī kuchh nahīñ
dekho to Dar bahut hai magar Dar bhī kuchh nahīñ
phūloñ kī sej kuchh nahīñ bistar bhī kuchh nahīñ
gum-gashta aadmī ke liye ghar bhī kuchh nahīñ
būḌhe shajar ukhaḌ ga.e to kyā muzā.iqa
pāgal havā chalegī to patthar bhī kuchh nahīñ
ātish-mizāj log bhī kahte sune ga.e
sūraj bhī vahm hai mah-o-aḳhtar bhī kuchh nahīñ
ā.īna-vār ḳhush haiñ bahut be-libāsiyāñ
jaise ki nang-o-nām kī chādar bhī kuchh nahīñ
ye kyā ki mausam-e-sitam-ījād ke liye
barg-o-samar bhī hech ġhul-e-tar bhī kuchh nahīñ
mujh ko haqīr kahne se pahle ye soch le
qatra jo kuchh nahīñ to samundar bhī kuchh nahīñ
āvārgān-e-shauq ke aage huā to kyā
mahshar-qadam balāoñ ke lashkar bhī kuchh nahīñ
fikr-e-suḳhan meñ ḳhuun jalā kar pata chalā
saudā bhī ek vahm hai aur sar bhī kuchh nahīñ
tark-e-talab bhī sochiye 'tanhā' to Thiik hai
lekin phir apne shauq se behtar bhī kuchh nahīñ
bahar KHala hai zat ke andar bhi kuchh nahin
dekho to Dar bahut hai magar Dar bhi kuchh nahin
phulon ki sej kuchh nahin bistar bhi kuchh nahin
gum-gashta aadmi ke liye ghar bhi kuchh nahin
buDhe shajar ukhaD gae to kya muzaiqa
pagal hawa chalegi to patthar bhi kuchh nahin
aatish-mizaj log bhi kahte sune gae
suraj bhi wahm hai mah-o-aKHtar bhi kuchh nahin
aaina-war KHush hain bahut be-libasiyan
jaise ki nang-o-nam ki chadar bhi kuchh nahin
ye kya ki mausam-e-sitam-ijad ke liye
barg-o-samar bhi hech ghul-e-tar bhi kuchh nahin
mujh ko haqir kahne se pahle ye soch le
qatra jo kuchh nahin to samundar bhi kuchh nahin
aawargan-e-shauq ke aage hua to kya
mahshar-qadam balaon ke lashkar bhi kuchh nahin
fikr-e-suKHan mein KHun jala kar pata chala
sauda bhi ek wahm hai aur sar bhi kuchh nahin
tark-e-talab bhi sochiye 'tanha' to Thik hai
lekin phir apne shauq se behtar bhi kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.