bahar nahin to KHud hi ke andar talash kar
bāhar nahīñ to ḳhud hī ke andar talāsh kar
sahrā hai jis jagah pe samundar talāsh kar
mumkin hai ye ki merī rag-e-jāñ ko kaaT de
īsār-o-āshiqī kā tū ḳhanjar talāsh kar
ham sach kaheñge sach ke sivā kuchh nahīñ miyāñ
tū apne jaise jhūTe sitamgar talāsh kar
jo ġham kā muskurā ke uḌaa.e mazāq vo
mil jā.egā vo ḳhud meñ qalandar talāsh kar
jab tak hai jaan jaan meñ marne kā Dar bhī hai
jo Dar nikāl de vo payambar talāsh kar
andāz apnā hotā hai sab ke bayān kā
'irshād' jaisā achchhā suḳhanvar talāsh kar
bahar nahin to KHud hi ke andar talash kar
sahra hai jis jagah pe samundar talash kar
mumkin hai ye ki meri rag-e-jaan ko kaT de
isar-o-ashiqi ka tu KHanjar talash kar
hum sach kahenge sach ke siwa kuchh nahin miyan
tu apne jaise jhuTe sitamgar talash kar
jo gham ka muskura ke uDae mazaq wo
mil jaega wo KHud mein qalandar talash kar
jab tak hai jaan jaan mein marne ka Dar bhi hai
jo Dar nikal de wo payambar talash kar
andaz apna hota hai sab ke bayan ka
'irshad' jaisa achchha suKHanwar talash kar
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 130)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.