bahar to KHush-gawar december ki dhup hai
bāhar to ḳhush-gavār december kī dhuup hai
ham jis meñ jal rahe haiñ vo andar kī dhuup hai
kyā dhuup ke ġhazab se Darāoge tum mujhe
har chilchilātī dhuup mire ghar kī dhuup hai
is se to zulf bhī na bachā pā.egī tirī
ai mehrbāñ ye mere muqaddar kī dhuup hai
girtī hai mujh pe aa ke kisī teġh kī tarah
ḳhud ko bachā ke rakh ye mire sar kī dhuup hai
terī hasīn shaam ko jhulsā na de kahīñ
mujh be-navā ke saath jo din bhar kī dhuup hai
māyūs lauT jā.egī 'darvesh' kī tarah
kamre meñ jhāñktī huī bāhar kī dhuup hai
bahar to KHush-gawar december ki dhup hai
hum jis mein jal rahe hain wo andar ki dhup hai
kya dhup ke ghazab se Daraoge tum mujhe
har chilchilati dhup mere ghar ki dhup hai
is se to zulf bhi na bacha paegi teri
ai mehrban ye mere muqaddar ki dhup hai
girti hai mujh pe aa ke kisi tegh ki tarah
KHud ko bacha ke rakh ye mere sar ki dhup hai
teri hasin sham ko jhulsa na de kahin
mujh be-nawa ke sath jo din bhar ki dhup hai
mayus lauT jaegi 'darwesh' ki tarah
kamre mein jhankti hui bahar ki dhup hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.