bais-e-hijr ye baaton mein rawani aai
bā.is-e-hijr ye bātoñ meñ ravānī aa.ī
Dhal ga.ī umr to ġhazloñ pe javānī aa.ī
phir ubharne lage bhūlī huī yādoñ ke nuqūsh
ishq ke daur kī ik yaad purānī aa.ī
ham se majbūr pe kyoñ tanz kiyā karte ho
ġham kī rūdād hameñ to na sunānī aa.ī
sher kahne kā salīqa to nahīñ aatā thā
kafsh-e-ustād kī ḳhidmat se ravānī aa.ī
mahfil-e-sher-o-suḳhan meñ chalo 'māhir' sāhib
aisā lagtā hai ki phir raat suhānī aa.ī
bais-e-hijr ye baaton mein rawani aai
Dhal gai umr to ghazlon pe jawani aai
phir ubharne lage bhuli hui yaadon ke nuqush
ishq ke daur ki ek yaad purani aai
hum se majbur pe kyon tanz kiya karte ho
gham ki rudad hamein to na sunani aai
sher kahne ka saliqa to nahin aata tha
kafsh-e-ustad ki KHidmat se rawani aai
mahfil-e-sher-o-suKHan mein chalo 'mahir' sahib
aisa lagta hai ki phir raat suhani aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.