bais-e-qurb jafa-kar ka ghussa to hai
bā.is-e-qurb jafā-kār kā ġhussa to hai
dil kashīda hī sahī ghuur ke dekhā to hai
pau phaTe yā na phaTe ḳhalvat-e-dil meñ lekin
haañ nahīñ aur nahīñ haañ kā dhuñdalkā to hai
munqata.a kar ke sabhī silk-e-ta.alluq aksar
merī dīvār-e-anā koī girātā to hai
umr kī shaam Dhale paikar-e-zebā us kā
pahle jaisā to nahīñ dil meñ vo tanhā to hai
bā-vuzū dil pe likhī maiñ ne hai tauba apnī
kuchh nahīñ zād-e-safar hurmat-e-tauba to hai
bujh ga.ī aag magar raakh ke malbe ke tale
ik sulagtī huī fariyād kā lahrā to hai
ye bhī mansūba-e-fardā kī na sāzish ho 'shahāb'
haal majrūh kā talvār ne pūchhā to hai
bais-e-qurb jafa-kar ka ghussa to hai
dil kashida hi sahi ghur ke dekha to hai
pau phaTe ya na phaTe KHalwat-e-dil mein lekin
han nahin aur nahin han ka dhundalka to hai
munqata kar ke sabhi silk-e-talluq aksar
meri diwar-e-ana koi giraata to hai
umr ki sham Dhale paikar-e-zeba us ka
pahle jaisa to nahin dil mein wo tanha to hai
ba-wuzu dil pe likhi main ne hai tauba apni
kuchh nahin zad-e-safar hurmat-e-tauba to hai
bujh gai aag magar rakh ke malbe ke tale
ek sulagti hui fariyaad ka lahra to hai
ye bhi mansuba-e-farda ki na sazish ho 'shahab'
haal majruh ka talwar ne puchha to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.