baal-bachchon ke ishaaron pe hi jab nachna hai
bāl-bachchoñ ke ishāroñ pe hī jab nāchnā hai
kyā ye socheñ ki kahāñ nāchnā kab nāchnā hai
us se lau maiñ ne lagā lī hai to ab sochnā kyā
jis tarah mujh ko nachā.e mirā rab nāchnā hai
apnī hī dhun meñ basar karne haiñ baaqī shab-o-roz
lai pe auroñ kī na gaanā hai na ab nāchnā hai
apnā ham-raqs banā hī nahīñ saktā maiñ use
zehn meñ rakh ke jise nām-o-nasab nāchnā hai
ghuñgrūoñ se hī bujhānī hai jinheñ peT kī aag
toḌ kar un ko to har hadd-e-adab nāchnā hai
maiñ jahāñ din ke ujāloñ meñ nahīñ jā saktā
ban ke un galiyoñ meñ āvāra-e-shab nāchnā hai
aisī fankārī pe kyā naaz kareñ ham 'shāhid'
ḳhud sajā kar hī agar bazm-e-tarab nāchnā hai
baal-bachchon ke ishaaron pe hi jab nachna hai
kya ye sochen ki kahan nachna kab nachna hai
us se lau main ne laga li hai to ab sochna kya
jis tarah mujh ko nachae mera rab nachna hai
apni hi dhun mein basar karne hain baqi shab-o-roz
lai pe auron ki na gana hai na ab nachna hai
apna ham-raqs bana hi nahin sakta main use
zehn mein rakh ke jise nam-o-nasab nachna hai
ghungruon se hi bujhani hai jinhen peT ki aag
toD kar un ko to har hadd-e-adab nachna hai
main jahan din ke ujalon mein nahin ja sakta
ban ke un galiyon mein aawara-e-shab nachna hai
aisi fankari pe kya naz karen hum 'shahid'
KHud saja kar hi agar bazm-e-tarab nachna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.