baal shishe mein kahin baal se main hota hun
baal shīshe meñ kahīñ baal se maiñ hotā huuñ
be-yaqīnī meñ paḌe jaal se maiñ hotā huuñ
aisā bīmār banātī hai tirī aañkh mujhe
aise gulnār tire gaal se maiñ hotā huuñ
tujh pe vo umr guzārī maiñ kahīñ aa.e na aa.e
sher kahte hue jis haal se maiñ hotā huuñ
dām-o-darham hunar-e-ḳhvāb ke badle laao
aise mar.ūb kahāñ maal se maiñ hotā huuñ
dil kī gahrā.ī tirī zaat kī tanhā.ī mirī
qaal se to huā hai haal se maiñ hotā huuñ
ek tajrīdī-numū husn ne rakkhī ham meñ
ḳhad se to hotā huā ḳhaal se maiñ hotā huuñ
aur zarā tham ke adam-nāma-e-hasrat ho kar
ashk be-zār tirī Dhaal se maiñ hotā huuñ
baal shishe mein kahin baal se main hota hun
be-yaqini mein paDe jal se main hota hun
aisa bimar banati hai teri aankh mujhe
aise gulnar tere gal se main hota hun
tujh pe wo umr guzari main kahin aae na aae
sher kahte hue jis haal se main hota hun
dam-o-darham hunar-e-KHwab ke badle lao
aise marub kahan mal se main hota hun
dil ki gahrai teri zat ki tanhai meri
qal se to hua hai haal se main hota hun
ek tajridi-numu husn ne rakkhi hum mein
KHad se to hota hua KHal se main hota hun
aur zara tham ke adam-nama-e-hasrat ho kar
ashk be-zar teri Dhaal se main hota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.