baala-e-farsh gar na tah-e-asman rahe
bālā-e-farsh gar na tah-e-āsmāñ rahe
ye aadmī batāo ki jā kar kahāñ rahe
aa.e haiñ zindagī meñ kuchh aise bhī marhale
maiñ thā magar na saath mire rāz-dāñ rahe
kaT jaa.e sar yahī to hai paiġhām-e-karbalā
baaqī magar namāz rahe aur azaañ rahe
manzūr shahr-e-dil meñ basānā nahīñ agar
phir vo jagah batā do ye 'āshiq jahāñ rahe
manzil simaT ke ḳhud tire qadmoñ meñ aa.egī
ye shart hai ki himmat-e-mardāñ javāñ rahe
us maslahat-parast ko jiine kā haq nahīñ
muñh meñ zabān rakh ke bhī jo be-zabāñ rahe
kirdār aisā ho pas-e-murdan meñ bazm meñ
ahbāb kī zabāñ pe tirī dāstāñ rahe
ye jaan kar kiyā gayā hai ‘ahd-e-dostī
tarfain ke 'ilāqoñ meñ amn-o-amāñ rahe
sahrā-navardiyoñ meñ guzārī hai zindagī
ham gulsitān-e-dahr meñ be-āshiyāñ rahe
zālim ne soch kar ye zabāñ kaaT dī 'kashish'
mazlūm kī zabāñ pe na āh-o-fuġhāñ rahe
baala-e-farsh gar na tah-e-asman rahe
ye aadmi batao ki ja kar kahan rahe
aae hain zindagi mein kuchh aise bhi marhale
main tha magar na sath mere raaz-dan rahe
kaT jae sar yahi to hai paigham-e-karbala
baqi magar namaz rahe aur azan rahe
manzur shahr-e-dil mein basana nahin agar
phir wo jagah bata do ye 'ashiq jahan rahe
manzil simaT ke KHud tere qadmon mein aaegi
ye shart hai ki himmat-e-mardan jawan rahe
us maslahat-parast ko jine ka haq nahin
munh mein zaban rakh ke bhi jo be-zaban rahe
kirdar aisa ho pas-e-murdan mein bazm mein
ahbab ki zaban pe teri dastan rahe
ye jaan kar kiya gaya hai ‘ahd-e-dosti
tarfain ke 'ilaqon mein amn-o-aman rahe
sahra-nawardiyon mein guzari hai zindagi
hum gulsitan-e-dahr mein be-ashiyan rahe
zalim ne soch kar ye zaban kaT di 'kashish'
mazlum ki zaban pe na aah-o-fughan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.