baalon mein jaise chipki ho chewing-gum buri tarah
bāloñ meñ jaise chipkī ho chewing-gum burī tarah
aa.e kisī ke jhāñse meñ ham bhī usī tarah
terī nazar se dekheñ to duniyā hasīn hai
lekin hameñ nazar bhī to aa.e tirī tarah
kār-e-jahāñ hamī se ravāñ hai ki ham meñ bhī
tāb-e-numū hai parda-e-aflāk kī tarah
qasmeñ uThā rahe haiñ vo bhī tere naam kī
jo log jānte nahīñ tujh ko kisī tarah
pāmāl rāstoñ se gurezāñ rahe haiñ ham
kī haiñ purānī bāteñ bhī lekin na.ī tarah
us ne mujhe gale se lagā kar kahā : suno
murda diloñ ko karte haiñ zinda isī tarah
baalon mein jaise chipki ho chewing-gum buri tarah
aae kisi ke jhanse mein hum bhi usi tarah
teri nazar se dekhen to duniya hasin hai
lekin hamein nazar bhi to aae teri tarah
kar-e-jahan hami se rawan hai ki hum mein bhi
tab-e-numu hai parda-e-aflak ki tarah
qasmen uTha rahe hain wo bhi tere nam ki
jo log jaante nahin tujh ko kisi tarah
pamal raston se gurezan rahe hain hum
ki hain purani baaten bhi lekin nai tarah
us ne mujhe gale se laga kar kaha : suno
murda dilon ko karte hain zinda isi tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.