Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baam-e-talat ki fana-fam bahaaro jao

Ghulam Mustafa Daim

baam-e-talat ki fana-fam bahaaro jao

Ghulam Mustafa Daim

MORE BYGhulam Mustafa Daim

    bām-e-tal.at fanā-fām bahāro jaao

    rang-e-hirmāñ ko jabīnoñ pe sahāro jaao

    hameñ iz'ān-e-havādis meñ lipaTtā chhoḌo

    ḳhātir-e-sahn-e-talattuf ko pukāro jaao

    garmī-e-rang har lahr mubārak ho hameñ

    chashm-e-be-dīd ehsān utāro jaao

    sho.ala-e-zāt lapak bhuul ke so jā.egā

    tum bhī ai hurmat-e-hangām ke maaro jaao

    jū-e-āvāra ko juz aks-guzārī kyā hai

    abas andāz na bah jaao sitāro jaao

    sā.at-e-hāl rahe sūrat-e-tasbīh ba-kaf

    dast-e-auqāt ko bas sar se guzāro jaao

    zinda rahne banāvaT meñ koī fat.h nahīñ

    nafs āmāda kiye jaan se haaro jaao

    baam-e-talat ki fana-fam bahaaro jao

    rang-e-hirman ko jabinon pe sahaaro jao

    hamein iz'an-e-hawadis mein lipaTta chhoDo

    KHatir-e-sahn-e-talattuf ko pukaro jao

    garmi-e-rang ki har lahr mubarak ho hamein

    chashm-e-be-did ka ehsan utaro jao

    shoala-e-zat lapak bhul ke so jaega

    tum bhi ai hurmat-e-hangam ke maro jao

    ju-e-awara ko juz aks-guzari kya hai

    abas andaz na bah jao sitaro jao

    saat-e-haal rahe surat-e-tasbih ba-kaf

    dast-e-auqat ko bas sar se guzaro jao

    zinda rahne ki banawaT mein koi fath nahin

    nafs aamada kiye jaan se haaro jao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now