baam par aaj na mahtab-e-daraKHshan nikla
baam par aaj na mahtāb-e-daraḳhshāñ niklā
ham rahe diid se mahrūm kab armāñ niklā
bazm meñ sirf na the ahl-e-nazar hī shashdar
dekh kar un ko to ā.īna bhī hairāñ niklā
ḳhushk-o-ḳhāmosh nazar aatā thā pahle jo hameñ
jab khulā ham se to vo rashk-e-bahārāñ niklā
kis ko ham dekhte malbūs-e-tarah-dārī meñ
har koī hirs ke hammām meñ 'uryāñ niklā
'ishq ko mere fazīlat huī hāsil 'abrār'
husn-e-jānāna mire shauq kā ‘unvāñ niklā
baam par aaj na mahtab-e-daraKHshan nikla
hum rahe did se mahrum kab arman nikla
bazm mein sirf na the ahl-e-nazar hi shashdar
dekh kar un ko to aaina bhi hairan nikla
KHushk-o-KHamosh nazar aata tha pahle jo hamein
jab khula hum se to wo rashk-e-bahaaran nikla
kis ko hum dekhte malbus-e-tarah-dari mein
har koi hirs ke hammam mein 'uryan nikla
'ishq ko mere fazilat hui hasil 'abrar'
husn-e-jaanana mere shauq ka ‘unwan nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.