banhon ke kisi haar ki muhtaj nahin hai
bāñhoñ ke kisī haar kī muhtāj nahīñ hai
chāhat hai ye iqrār kī muhtāj nahīñ hai
dīvār uThāte hue ye soch to lete
ḳhushbū kisī dīvār kī mohtāj nahīñ hai
ik roz maiñ aa.ī thī usī aañkh kī zad meñ
vo aañkh jo talvār kī muhtāj nahīñ hai
tum merī mohabbat ko paḌho aañkh meñ merī
ye pyaar ke iz.hār kī mohtāj nahīñ hai
ḳhālis ho to ho jaa.e kisī se ye mohabbat
is ahd ke me.aar kī mohtāj nahīñ hai
mahbūb kī sūrat kā agar naqsh ho dil par
phir aañkh to dīdār kī mohtāj nahīñ hai
ehsān nahīñ chāhiye ye sun lo 'rishā' bhī
māñge hue is pyaar kī mohtāj nahīñ hai
banhon ke kisi haar ki muhtaj nahin hai
chahat hai ye iqrar ki muhtaj nahin hai
diwar uThate hue ye soch to lete
KHushbu kisi diwar ki mohtaj nahin hai
ek roz main aai thi usi aankh ki zad mein
wo aankh jo talwar ki muhtaj nahin hai
tum meri mohabbat ko paDho aankh mein meri
ye pyar ke izhaar ki mohtaj nahin hai
KHalis ho to ho jae kisi se ye mohabbat
is ahd ke mear ki mohtaj nahin hai
mahbub ki surat ka agar naqsh ho dil par
phir aankh to didar ki mohtaj nahin hai
ehsan nahin chahiye ye sun lo 'risha' bhi
mange hue is pyar ki mohtaj nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.