banTne walon ne jab apna paraya banTa
bāñTne vāloñ ne jab apnā parāyā bāñTā
bhaa.ī ne bhaa.ī se dīvār kā saaya bāñTā
sāz-o-sāmān kī taqsīm na.ī baat nahīñ
mere apnoñ ne Thaharne kā kirāya bāñTā
bāñTne vāloñ se kī saarī kamā.ī us ne
maiñ ne jo bāñTā vo sab apnā kamāyā bāñTā
jā.edād us kī kahāñ phir bhī salīqe se baTī
go ki logoñ ne use hasb-e-vasāyā bāñTā
baañT paayā na añdherā mire tan ko ab tak
vo ujālā hai ki jis ne mirā saaya bāñTā
ab bhī phailā.e hue dast-e-talab haiñ kitne
tū ne kyā kyā na zamāne meñ ḳhudāyā bāñTā
tajraba bahr-e-suḳhan raas jo aaya tujh ko
tū ne ai 'badr' use jam' kiyā yā bāñTā
banTne walon ne jab apna paraya banTa
bhai ne bhai se diwar ka saya banTa
saz-o-saman ki taqsim nai baat nahin
mere apnon ne Thaharne ka kiraya banTa
banTne walon se ki sari kamai us ne
main ne jo banTa wo sab apna kamaya banTa
jaedad us ki kahan phir bhi saliqe se baTi
go ki logon ne use hasb-e-wasaya banTa
banT paya na andhera mere tan ko ab tak
wo ujala hai ki jis ne mera saya banTa
ab bhi phailae hue dast-e-talab hain kitne
tu ne kya kya na zamane mein KHudaya banTa
tajraba bahr-e-suKHan ras jo aaya tujh ko
tu ne ai 'badr' use jam' kiya ya banTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.