bap zinda phir raha hai aur beTe mar gae
baap zinda phir rahā hai aur beTe mar ga.e
būḌhe bargad ke achānak kitne hisse mar ga.e
thā mohabbat kā vazīfa is liye shādāb the
aañkh soī bāġhbāñ kī aur paude mar ga.e
zehn-o-dil meñ ḳhauf thā ye saañs ruknī hai zarūr
Dar ke qaidī dekhiye phir Darte Darte mar ga.e
de rahā hai mujh ko vo rizq-e-suḳhan āġhāz se
varna mere jaise kitne aa.e kitne mar ga.e
ik taraf thī ‘aish-o-‘ishrat kī fazā mīrās meñ
aur kuchh aslāf ke ġham Dhote Dhote mar ga.e
uf darindoñ kī baqā mā'sūm jāneñ le uḌī
kuchh shikam meñ kuchh zamīñ par paañv dharte mar ga.e
ḳhud-farebī se muzayyan zindagī ke roz-o-shab
bad-nasībī jhuuT kahte jhuuT sunte mar ga.e
dāstān-e-‘ishq meñ 'mājid' nayā kirdār hai
mujh se pahle 'faiz'-o-'jālib' likhte likhte mar ga.e
bap zinda phir raha hai aur beTe mar gae
buDhe bargad ke achanak kitne hisse mar gae
tha mohabbat ka wazifa is liye shadab the
aankh soi baghban ki aur paude mar gae
zehn-o-dil mein KHauf tha ye sans rukni hai zarur
Dar ke qaidi dekhiye phir Darte Darte mar gae
de raha hai mujh ko wo rizq-e-suKHan aaghaz se
warna mere jaise kitne aae kitne mar gae
ek taraf thi ‘aish-o-‘ishrat ki faza miras mein
aur kuchh aslaf ke gham Dhote Dhote mar gae
uf darindon ki baqa ma'sum jaanen le uDi
kuchh shikam mein kuchh zamin par panw dharte mar gae
KHud-farebi se muzayyan zindagi ke roz-o-shab
bad-nasibi jhuT kahte jhuT sunte mar gae
dastan-e-‘ishq mein 'majid' naya kirdar hai
mujh se pahle 'faiz'-o-'jalib' likhte likhte mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.