baqi hai abhi zulf mein KHam aur zara sa
baaqī hai abhī zulf meñ ḳham aur zarā sā
ai husn karam aur karam aur zarā sā
ḳheme na lagāo ki bahut paas hai manzil
baḌhte raho do-chār qadam aur zarā sā
sahrāoñ se niklā thā kabhī chashma-e-zamzam
aatī hai sadā aaj bhī tham aur zarā sā
ik umr sarāboñ ko samajhte rahe dariyā
rahne do hamārā ye bharam aur zarā sā
phir chāñd ne bādal meñ chhupā rakkhā hai chehra
phir hijr kā baḌh jaa.e na ġham aur zarā sā
jaagā hai koī dard to ham jaag uThe haiñ
kuchh aur sitam aur sitam aur zarā sā
ā.īna-e-dil TūTne vaalā hai sar-e-shām
kirchoñ meñ bikhar jā.eñge ham aur zarā sā
'iqbāl' haiñ umDe hue bādal abhī dil meñ
ai chashm zarā aur ho nam aur zarā sā
baqi hai abhi zulf mein KHam aur zara sa
ai husn karam aur karam aur zara sa
KHeme na lagao ki bahut pas hai manzil
baDhte raho do-chaar qadam aur zara sa
sahraon se nikla tha kabhi chashma-e-zamzam
aati hai sada aaj bhi tham aur zara sa
ek umr sarabon ko samajhte rahe dariya
rahne do hamara ye bharam aur zara sa
phir chand ne baadal mein chhupa rakkha hai chehra
phir hijr ka baDh jae na gham aur zara sa
jaga hai koi dard to hum jag uThe hain
kuchh aur sitam aur sitam aur zara sa
aaina-e-dil TuTne wala hai sar-e-sham
kirchon mein bikhar jaenge hum aur zara sa
'iqbaal' hain umDe hue baadal abhi dil mein
ai chashm zara aur ho nam aur zara sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.