baqi hain zindagi ke abhi aur kaam bhi
baqi hain zindagi ke abhi aur kaam bhi
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
baaqī haiñ zindagī ke abhī aur kaam bhī
laa.ī hai hijratoñ ke masā.il ye shaam bhī
merī anā se mujh ko agar fursateñ milīñ
ik ḳhat likhūñgā bhūlne vaale ke naam bhī
tasvīr zindagī kī pas-e-pusht Daal kar
lete haiñ apne aap se ham intiqām bhī
har shai thī dastaras meñ magar is ke bāvajūd
aa.e haiñ terī bazm se ham tishna-kām bhī
har chand be-sabāt hai sau fīsadī magar
lāzim hai zindagī kā hameñ ehtirām bhī
us shaḳhs kī hayāt kā kyā tazkira kareñ
aa.e na jo paḌos ke logoñ ke kaam bhī
baqi hain zindagi ke abhi aur kaam bhi
lai hai hijraton ke masail ye sham bhi
meri ana se mujh ko agar fursaten milin
ek KHat likhunga bhulne wale ke nam bhi
taswir zindagi ki pas-e-pusht Dal kar
lete hain apne aap se hum intiqam bhi
har shai thi dastaras mein magar is ke bawajud
aae hain teri bazm se hum tishna-kaam bhi
har chand be-sabaat hai sau fisadi magar
lazim hai zindagi ka hamein ehtiram bhi
us shaKHs ki hayat ka kya tazkira karen
aae na jo paDos ke logon ke kaam bhi
- Book : سائبان غزل (Pg. 39)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.