baqi tan mein jaan nahin hai
baaqī tan meñ jaan nahīñ hai
lekin ham ko dhyān nahīñ hai
khone ka imkān nahīñ hai
itnā baḌā zindān nahīñ hai
sunñe vaalā koī na ho to
chup rahnā āsān nahīñ hai
kaise nagar meñ le aa.e ho
koī galī vīrān nahīñ hai
dil ab thoḌā sudhar gayā hai
dukhī to hai hairān nahīñ hai
maut nazar aa.ī to paayā
ye chehra anjān nahīñ hai
merī jaan bachāne vaale
jabr hai ye ehsān nahīñ hai
baqi tan mein jaan nahin hai
lekin hum ko dhyan nahin hai
khone ka imkan nahin hai
itna baDa zindan nahin hai
sunne wala koi na ho to
chup rahna aasan nahin hai
kaise nagar mein le aae ho
koi gali viran nahin hai
dil ab thoDa sudhar gaya hai
dukhi to hai hairan nahin hai
maut nazar aai to paya
ye chehra anjaan nahin hai
meri jaan bachane wale
jabr hai ye ehsan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.