bar bar ek hi nazzara na dikhlaya kar
baar baar ek hī nazzāra na dikhlāyā kar
baat dilkash bhī agar ho to na dohrāyā kar
log gir jaate haiñ miTTī ke gharoñdoñ kī tarah
is tarah bārish-e-dīdār na barsāyā kar
peḌ kā saayā nahīñ TuuTā huā patta huuñ
mujh ko jazbāt ke dariyā meñ na Thahrāyā kar
TuuT jaa.e na kisī roz tirā shīsh-mahal
yuuñ sar-e-rāh na dīvānoñ ko samjhāyā kar
mere ehsās ko ik phuul bahut hai 'ḳhāvar'
mere ehsās pe yuuñ sañg na barsāyā kar
bar bar ek hi nazzara na dikhlaya kar
baat dilkash bhi agar ho to na dohraya kar
log gir jate hain miTTi ke gharondon ki tarah
is tarah barish-e-didar na barsaya kar
peD ka saya nahin TuTa hua patta hun
mujh ko jazbaat ke dariya mein na Thahraya kar
TuT jae na kisi roz tera shish-mahal
yun sar-e-rah na diwanon ko samjhaya kar
mere ehsas ko ek phul bahut hai 'KHawar'
mere ehsas pe yun sang na barsaya kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.