bar-bar jite hain bar-bar marte hain
bār-bār jiite haiñ bār-bār marte haiñ
yuuñ vafā kī duniyā meñ apne din guzarte haiñ
aaj gesū-e-hastī ‘asr-e-nau ke shāne se
utne hī ulajhte haiñ jis qadar sañvarte haiñ
har qadam pe milte haiñ teġh-o-dār ke saa.e
muzhda-e-mohabbat ham phir bhī ‘aam karte haiñ
kis ko hosh rahtā hai mai-kade meñ hastī ke
us dam aañkh khultī hai jab nashe utarte haiñ
kab nazar meñ un kī hai farq-e-kāfir-o-dīñ-dār
jo tirī mohabbat kā dam jahāñ meñ bharte haiñ
abr-e-rahmat uThtā hai jhuum jhuum kar paiham
jis maqām se bhī ham ahl-e-ġham guzarte haiñ
ḳhānqāh ke din bhī haiñ do-chār zulmat se
mai-kade meñ rātoñ ko āftāb ubharte haiñ
shaiḳh aur barahman ke hathkañDe are tauba
aadmī ko begāna aadmī se karte haiñ
shikva-e-bahārāñ kyoñ kar rahe ho 'rehānī'
ḳhūn-e-dil khapāne se gulsitāñ nikharte haiñ
bar-bar jite hain bar-bar marte hain
yun wafa ki duniya mein apne din guzarte hain
aaj gesu-e-hasti ‘asr-e-nau ke shane se
utne hi ulajhte hain jis qadar sanwarte hain
har qadam pe milte hain tegh-o-dar ke sae
muzhda-e-mohabbat hum phir bhi ‘am karte hain
kis ko hosh rahta hai mai-kade mein hasti ke
us dam aankh khulti hai jab nashe utarte hain
kab nazar mein un ki hai farq-e-kafir-o-din-dar
jo teri mohabbat ka dam jahan mein bharte hain
abr-e-rahmat uThta hai jhum jhum kar paiham
jis maqam se bhi hum ahl-e-gham guzarte hain
KHanqah ke din bhi hain do-chaar zulmat se
mai-kade mein raaton ko aaftab ubharte hain
shaiKH aur barahman ke hathkanDe are tauba
aadmi ko begana aadmi se karte hain
shikwa-e-bahaaran kyon kar rahe ho 'rehani'
KHun-e-dil khapane se gulsitan nikharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.