bar-e-tanhai liye jaane kidhar jati hai
bār-e-tanhā.ī liye jaane kidhar jaatī hai
bād-e-shab mere darīche se guzar jaatī hai
mere sar meñ ye havā kis kī hai lau kis kī hai
lai bhaḌaktī hī nahīñ aur bikhar jaatī hai
dil ke vīrāne meñ bahne de ġham-e-hijrāñ ko
ye nadī ḳhitta-e-shādāb meñ mar jaatī hai
terī chāñdī bhī 'ajab hai mirī miTTī pā kar
taab paatī hai chamaktī hai nikhar jaatī hai
darmiyāñ phir ye bayābān-e-mashiyyat kyā hai
kū-e-dilbar kī taraf raah agar jaatī hai
bar-e-tanhai liye jaane kidhar jati hai
baad-e-shab mere dariche se guzar jati hai
mere sar mein ye hawa kis ki hai lau kis ki hai
lai bhaDakti hi nahin aur bikhar jati hai
dil ke virane mein bahne de gham-e-hijran ko
ye nadi KHitta-e-shadab mein mar jati hai
teri chandi bhi 'ajab hai meri miTTi pa kar
tab pati hai chamakti hai nikhar jati hai
darmiyan phir ye bayaban-e-mashiyyat kya hai
ku-e-dilbar ki taraf rah agar jati hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 106)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.