barak-allah main tere husn ki kya baat kahun
bārak-allāh maiñ tire husn kī kyā baat kahūñ
saj kahūñ dhaj kahūñ chhab taḳhtī kahūñ gaat kahūñ
ruḳh o zulf us ke shab-e-tār meñ dekhe bāham
huuñ achambhe meñ ise din kahūñ yā raat kahūñ
kī qayāmat tire qāmat ne to gulshan uupar
pañkhuḌī ek taraf phuul kahūñ paat kahūñ
tāq-e-abrū ke nazāre ke the ḳhvāhāñ so milā
aur kyā hājat ab ai qibla-e-hājāt kahūñ
dekhne ko abhī dil taḌpā ki tum aa pahuñche
kashish-e-dil ki tumhārī ye karāmāt kahūñ
ain hijrāñ meñ bahār-e-gul-o-bārāñ aa.ī
girya āshiq kā kahūñ yā use barsāt kahūñ
'azfarī' ne haiñ tire ishq meñ jhele pyāre
kyā kyā āfāt baliyyāt ki sadmāt kahūñ
barak-allah main tere husn ki kya baat kahun
saj kahun dhaj kahun chhab taKHti kahun gat kahun
ruKH o zulf us ke shab-e-tar mein dekhe baham
hun achambhe mein ise din kahun ya raat kahun
ki qayamat tere qamat ne to gulshan upar
pankhuDi ek taraf phul kahun pat kahun
taq-e-abru ke nazare ke the KHwahan so mila
aur kya hajat ab ai qibla-e-hajat kahun
dekhne ko abhi dil taDpa ki tum aa pahunche
kashish-e-dil ki tumhaari ye karamat kahun
ain hijran mein bahaar-e-gul-o-baran aai
girya aashiq ka kahun ya use barsat kahun
'azfari' ne hain tere ishq mein jhele pyare
kya kya aafat baliyyat ki sadmat kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.