barha deti rahi hum ko duhai mahfil
bārhā detī rahī ham ko duhā.ī mahfil
vo nahīñ the to hameñ raas na aa.ī mahfil
raushnī husn-e-suḳhan kuchh nahīñ bhāyā dil ko
sirf yādoñ ke charāġhoñ se sajā.ī mahfil
thā yaqīñ ḳhud pe bharosa thā hunar pe apne
chaah shohrat kī thī jo khīñch ke laa.ī mahfil
tazkira hotā rahā vaqt guzāreñ kaise
raat jab biit ga.ī hosh meñ aa.ī mahfil
raunaqeñ us ke liye jis ne ḳhushī ho paa.ī
Duub kar karb meñ kis ne bhalā paa.ī mahfil
sab ke chehroñ pe ḳhamoshī kā thā aalam taarī
nazm sunte hī baḌe vajd meñ aa.ī mahfil
barha deti rahi hum ko duhai mahfil
wo nahin the to hamein ras na aai mahfil
raushni husn-e-suKHan kuchh nahin bhaya dil ko
sirf yaadon ke charaghon se sajai mahfil
tha yaqin KHud pe bharosa tha hunar pe apne
chah shohrat ki thi jo khinch ke lai mahfil
tazkira hota raha waqt guzaren kaise
raat jab bit gai hosh mein aai mahfil
raunaqen us ke liye jis ne KHushi ho pai
Dub kar karb mein kis ne bhala pai mahfil
sab ke chehron pe KHamoshi ka tha aalam tari
nazm sunte hi baDe wajd mein aai mahfil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.