barha di hai sada dil ne KHuda gum-sum hai
bārhā dī hai sadā dil ne ḳhudā gum-sum hai
haath phailā.e ka.ī baar ḳhudā gum-sum hai
dene vāloñ ko binā māñge diyā hai us ne
māñgne vāloñ se le kar bhī ḳhudā gum-sum hai
muñh meñ ho ḳhaak mire shikva-kunāñ lagtā huuñ
shikva bhī kartā huuñ to dil kī fazā gum-sum hai
hai ḳhamoshī bhī qayāmat sī kahīñ shor nahīñ
sab charāġhoñ ko bujhā kar bhī havā gum-sum hai
paañv jakḌe hue baiThī hai zamīñ yāroñ ke
vaqt aayā hai to yāroñ kī vafā gum-sum hai
ab guzartī hai ḳhudāoñ pe qayāmat kaisī
dar pe baiThā hai tire aur gadā gum-sum hai
kaise kah duuñ ki bichhaḌnā hai munāsib 'rāmiz'
sochne bhī do mire dil ko zarā gum-sum hai
barha di hai sada dil ne KHuda gum-sum hai
hath phailae kai bar KHuda gum-sum hai
dene walon ko bina mange diya hai us ne
mangne walon se le kar bhi KHuda gum-sum hai
munh mein ho KHak mere shikwa-kunan lagta hun
shikwa bhi karta hun to dil ki faza gum-sum hai
hai KHamoshi bhi qayamat si kahin shor nahin
sab charaghon ko bujha kar bhi hawa gum-sum hai
panw jakDe hue baiThi hai zamin yaron ke
waqt aaya hai to yaron ki wafa gum-sum hai
ab guzarti hai KHudaon pe qayamat kaisi
dar pe baiTha hai tere aur gada gum-sum hai
kaise kah dun ki bichhaDna hai munasib 'ramiz'
sochne bhi do mere dil ko zara gum-sum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.