barha Dub ke har bar ubhar aane ka
bārhā Duub ke har baar ubhar aane kā
zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane kā
mustarad jis ko kiyā tū ne bahāna kar ke
vahī kirdār aham thā tire afsāne kā
maiñ to sūraj ko hathelī pe liye phirtā huuñ
maiñ charāġhoñ se miyāñ ḳhauf nahīñ khāne kā
ahl-e-dānish haiñ takabbur meñ kareñ kyā sāhib
un meñ jazba hai samajhne kā na samjhāne kā
ham ne majzūb mizāj apnā banā rakkhā hai
hai yahī ek bahāna tire yaad aane kā
dil-e-muztar ye taḌap ishq kā e.azāz samajh
chain mil jaa.e to har haal meñ Thukrāne kā
is liye chāñd sī raushan haiñ bujhī ho kar bhī
merī āñkhoñ meñ hai jo ḳhvāb tujhe paane kā
mai-kashī nām-o-nasab kī jo ġhulām aaj huī
sāqiyā raaz khulā ab tire maiḳhāne kā
tū na majnūñ hai na farhād na rāñjhā 'shādāb'
haañ magar aks hai tujh meñ kisī dīvāne kā
barha Dub ke har bar ubhar aane ka
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
mustarad jis ko kiya tu ne bahana kar ke
wahi kirdar aham tha tere afsane ka
main to suraj ko hatheli pe liye phirta hun
main charaghon se miyan KHauf nahin khane ka
ahl-e-danish hain takabbur mein karen kya sahib
un mein jazba hai samajhne ka na samjhane ka
hum ne majzub mizaj apna bana rakkha hai
hai yahi ek bahana tere yaad aane ka
dil-e-muztar ye taDap ishq ka eazaz samajh
chain mil jae to har haal mein Thukrane ka
is liye chand si raushan hain bujhi ho kar bhi
meri aankhon mein hai jo KHwab tujhe pane ka
mai-kashi nam-o-nasab ki jo ghulam aaj hui
saqiya raaz khula ab tere maiKHane ka
tu na majnun hai na farhad na ranjha 'shadab'
han magar aks hai tujh mein kisi diwane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.