barha jazbaat ki maujon mein bah jate hain log
bārhā jazbāt kī maujoñ meñ bah jaate haiñ log
choT kitnī bhī kaḌī ho dil pe sah jaate haiñ log
manziloñ kā 'umr bhar miltā nahīñ un ko nishāñ
kārvāñ se is qadar pīchhe bhī rah jaate haiñ log
vaqt se Takrā ke zinda rah nahīñ saktā koī
vaqt kī āñkhoñ se aañsū ban ke bah jaate haiñ log
ik mo'amma hī rahā ye ahl-e-duniyā ke liye
chhoḌ kar duniyā ko āḳhir kis jagah jaate haiñ log
ham nahīñ karte gila shikva kisī se ai 'kañval'
ghūm-phir kar baat lekin dil kī kah jaate haiñ log
barha jazbaat ki maujon mein bah jate hain log
choT kitni bhi kaDi ho dil pe sah jate hain log
manzilon ka 'umr bhar milta nahin un ko nishan
karwan se is qadar pichhe bhi rah jate hain log
waqt se Takra ke zinda rah nahin sakta koi
waqt ki aankhon se aansu ban ke bah jate hain log
ek mo'amma hi raha ye ahl-e-duniya ke liye
chhoD kar duniya ko aaKHir kis jagah jate hain log
hum nahin karte gila shikwa kisi se ai 'kanwal'
ghum-phir kar baat lekin dil ki kah jate hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.