barha Tut kar bana hun main
bārhā Tuut kar banā huuñ maiñ
Dūbtī naav kī anā huuñ maiñ
ḳhud hī mulzim huuñ ḳhud hī munsif bhī
apne hī rū-ba-rū khaḌā huuñ maiñ
merī miTTī bhī kyā 'ajab shai hai
barf-bārī hai jal rahā huuñ maiñ
jin pe ranj-o-alam ke pahre haiñ
un gharoñdoñ kā mudda'ā huuñ maiñ
jis taraf se bhī aa.e aa.e havā
apne ghar kī tarah khulā huuñ maiñ
phir rahā huuñ azal se ḳhāna-ba-dosh
kis bagūle kī intihā huuñ maiñ
harf aa.egā mujh pe kyā 'nādāñ'
ek darvesh kī sadā huuñ maiñ
barha Tut kar bana hun main
Dubti naw ki ana hun main
KHud hi mulzim hun KHud hi munsif bhi
apne hi ru-ba-ru khaDa hun main
meri miTTi bhi kya 'ajab shai hai
barf-bari hai jal raha hun main
jin pe ranj-o-alam ke pahre hain
un gharondon ka mudda'a hun main
jis taraf se bhi aae aae hawa
apne ghar ki tarah khula hun main
phir raha hun azal se KHana-ba-dosh
kis bagule ki intiha hun main
harf aaega mujh pe kya 'nadan'
ek darwesh ki sada hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.