barish-e-ashk bazahir to suhani hogi
bārish-e-ashk bazāhir to suhānī hogī
haañ magar 'umr samundar meñ gañvānī hogī
mash'aleñ saath rakho raat bhayānak hai bahut
aag jangal meñ bahar-gām jalānī hogī
maiñ musavvir huuñ mire fan kā taqāzā hai yahī
mujh ko dushman kī bhī tasvīr banānī hogī
yuuñ to patthar kī bhī qismat hai hasīñ tāj-mahal
apnī taqdīr magar aap banānī hogī
aaj to zaḳhm ke phūloñ kī mahak hai taaza
kal tum aa.e bhī to har baat purānī hogī
mujh ko ehsās ke paikar meñ na DhūñDo logo
merī āvāz tumheñ DhūñD ke laanī hogī
ham ne har 'ahd se samjhautā kiyā hai 'zarrīñ'
kuchh bhī ho ab to har ik baat nibhānī hogī
barish-e-ashk bazahir to suhani hogi
han magar 'umr samundar mein ganwani hogi
mash'alen sath rakho raat bhayanak hai bahut
aag jangal mein bahar-gam jalani hogi
main musawwir hun mere fan ka taqaza hai yahi
mujh ko dushman ki bhi taswir banani hogi
yun to patthar ki bhi qismat hai hasin taj-mahal
apni taqdir magar aap banani hogi
aaj to zaKHm ke phulon ki mahak hai taza
kal tum aae bhi to har baat purani hogi
mujh ko ehsas ke paikar mein na DhunDo logo
meri aawaz tumhein DhunD ke lani hogi
hum ne har 'ahd se samjhauta kiya hai 'zarrin'
kuchh bhi ho ab to har ek baat nibhani hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.