barish-e-sang hai us par kahan jata hai
bārish-e-sang hai us paar kahāñ jaatā hai
ai mire ā.ina-kirdār kahāñ jaatā hai
maiñ samajhtā thā vo jaate hue rokegā mujhe
aur pūchhegā mire yaar kahāñ jaatā hai
maiñ chalā jaatā huuñ duniyā kī taraf majbūran
mere andar kā ye fankār kahāñ jaatā hai
maiñ ne ḳhud pheñk ke talvār kahā dushman se
chhoḌ kar apnī ye dastār kahāñ jaatā hai
jab koī dast-e-talab baḌhtā hai merī jānib
dil tirā jazba-e-inkār kahāñ jaatā hai
tujh se behtar haiñ ka.ī log mirī nazroñ meñ
tū abhī jānib-e-pindār kahāñ jaatā hai
barish-e-sang hai us par kahan jata hai
ai mere aaina-kirdar kahan jata hai
main samajhta tha wo jate hue rokega mujhe
aur puchhega mere yar kahan jata hai
main chala jata hun duniya ki taraf majburan
mere andar ka ye fankar kahan jata hai
main ne KHud phenk ke talwar kaha dushman se
chhoD kar apni ye dastar kahan jata hai
jab koi dast-e-talab baDhta hai meri jaanib
dil tera jazba-e-inkar kahan jata hai
tujh se behtar hain kai log meri nazron mein
tu abhi jaanib-e-pindar kahan jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.