barish hai tanhai hai
bārish hai tanhā.ī hai
yaad tumhārī aa.ī hai
yaad tujhe kyoñ karte karte
aañkh mirī bhar aa.ī hai
tark-e-ta'alluq kaise kar luuñ
is meñ to rusvā.ī hai
mujh ko vafā na karnī aa.ī
tū bhī to harjā.ī hai
koyal jaisī terī bolī
ḳhushiyoñ kī shahnā.ī hai
siine meñ jo dhaḌak rahā hai
dil terā shaidā.ī hai
mere marne par ḳhushiyoñ kī
mahfil ḳhuub sajā.ī hai
'ishq meñ merī qismat mujh ko
maut ke dar par laa.ī hai
atom bam bhī ban saktā hai
ik zarra jo raa.ī hai
pyaar kā hai jo munkir 'sāġhar'
pāgal hai saudā.ī hai
barish hai tanhai hai
yaad tumhaari aai hai
yaad tujhe kyon karte karte
aankh meri bhar aai hai
tark-e-ta'alluq kaise kar lun
is mein to ruswai hai
mujh ko wafa na karni aai
tu bhi to harjai hai
koyal jaisi teri boli
KHushiyon ki shahnai hai
sine mein jo dhaDak raha hai
dil tera shaidai hai
mere marne par KHushiyon ki
mahfil KHub sajai hai
'ishq mein meri qismat mujh ko
maut ke dar par lai hai
atom bam bhi ban sakta hai
ek zarra jo rai hai
pyar ka hai jo munkir 'saghar'
pagal hai saudai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.