barish hui to shahr ke talab bhar gae
bārish huī to shahr ke tālāb bhar ga.e
kuchh log Dūbte hue dhul kar nikhar ga.e
sūraj chamak uThā to nigāheñ bhaTak ga.iiñ
aa.ī jo sub.h-e-nau to basārat se Dar ga.e
dariyā biphar ga.e to samundar se jā mile
Duube jo un ke saath kināre kidhar ga.e
dulhan kī surḳh maañg se afshāñ jo gir ga.ī
lamhoñ kī shoḳh jhiil meñ taare bikhar ga.e
phir dasht-e-intizār meñ khilne lage kañval
palkoñ se jhāñkte hue lamhe sañvar ga.e
bujhte hue charāġh hathelī pe jal ga.e
jhoñke tumhārī yaad ke dil meñ utar ga.e
sochā tumheñ to dard kī sadiyāñ pighal ga.iiñ
dekhā tumheñ to vaqt ke dariyā Thahar ga.e
tum to bharī bahār meñ khilte rahe magar
ham zaḳhm kā.enāt the kāñToñ se bhar ga.e
'ishrat' shab-e-nashāt ke jugnū liye hue
ham jashn-e-zar-nigāh meñ pariyoñ ke ghar ga.e
barish hui to shahr ke talab bhar gae
kuchh log Dubte hue dhul kar nikhar gae
suraj chamak uTha to nigahen bhaTak gain
aai jo subh-e-nau to basarat se Dar gae
dariya biphar gae to samundar se ja mile
Dube jo un ke sath kinare kidhar gae
dulhan ki surKH mang se afshan jo gir gai
lamhon ki shoKH jhil mein tare bikhar gae
phir dasht-e-intizar mein khilne lage kanwal
palkon se jhankte hue lamhe sanwar gae
bujhte hue charagh hatheli pe jal gae
jhonke tumhaari yaad ke dil mein utar gae
socha tumhein to dard ki sadiyan pighal gain
dekha tumhein to waqt ke dariya Thahar gae
tum to bhari bahaar mein khilte rahe magar
hum zaKHm kaenat the kanTon se bhar gae
'ishrat' shab-e-nashat ke jugnu liye hue
hum jashn-e-zar-nigah mein pariyon ke ghar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.