barud ke zarre jo fazaon mein rahenge
bārūd ke zarre jo fazāoñ meñ raheñge
phir kaise parinde ye havāoñ meñ raheñge
vahshat-zada māhaul hameñ khāne lagā hai
ab soch liyā hai kisī gaañv meñ raheñge
ab gaaḌ diye haiñ yahāñ ḳheme to kareñ kyā
ham ḳhush haiñ ki hijrat kī balāoñ meñ raheñge
jab dil meñ chhupe pyaar ne dam toḌ diyā to
phir saare hī jazbe ye ḳhalāoñ meñ raheñge
turbat koī kaise unheñ āġhosh meñ legī
masle hue ye phuul jo paañv meñ raheñge
badle hue māhaul pe maiñ soch rahā huuñ
kyā pyaar ke jazbe kabhī maaoñ meñ raheñge
barud ke zarre jo fazaon mein rahenge
phir kaise parinde ye hawaon mein rahenge
wahshat-zada mahaul hamein khane laga hai
ab soch liya hai kisi ganw mein rahenge
ab gaD diye hain yahan KHeme to karen kya
hum KHush hain ki hijrat ki balaon mein rahenge
jab dil mein chhupe pyar ne dam toD diya to
phir sare hi jazbe ye KHalaon mein rahenge
turbat koi kaise unhen aaghosh mein legi
masle hue ye phul jo panw mein rahenge
badle hue mahaul pe main soch raha hun
kya pyar ke jazbe kabhi maon mein rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.