Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat ab aai samajh mein ki haqiqat kya thi

Ehsan Darbhangavi

baat ab aai samajh mein ki haqiqat kya thi

Ehsan Darbhangavi

MORE BYEhsan Darbhangavi

    baat ab aa.ī samajh meñ ki haqīqat kyā thī

    ek jazbāt shiddat thī mohabbat kyā thī

    ab ye jaanā ki vo din-rāt ke shikve kyā the

    ab ye mālūm huā vaj.h-e-shikāyat kyā thī

    koī ik shoḳh ishāra bahut thā ai dost

    itne sanjīda tabassum zarūrat kyā thī

    ma.azarat thī vo faqat apnī ġhalat-bīnī

    jis pe nāzāñ the bahut ham vo basīrat kyā thī

    halqa-e-zulf-e-rasā us ke liye kaafī thā

    tere dīvāne ko zanjīr hājat kyā thī

    ye usī hai natīja ki tahī-dast rahe

    har khilaune pe lapakne zarūrat kyā thī

    faras-e-umr apnā hai bahut sust qadam

    varna 'ehsān' pe thoḌī masāfat kyā thī

    baat ab aai samajh mein ki haqiqat kya thi

    ek jazbaat ki shiddat thi mohabbat kya thi

    ab ye jaana ki wo din-raat ke shikwe kya the

    ab ye malum hua wajh-e-shikayat kya thi

    koi ek shoKH ishaara hi bahut tha ai dost

    itne sanjida tabassum ki zarurat kya thi

    mazarat thi wo faqat apni ghalat-bini ki

    jis pe nazan the bahut hum wo basirat kya thi

    halqa-e-zulf-e-rasa us ke liye kafi tha

    tere diwane ko zanjir ki hajat kya thi

    ye usi ka hai natija ki tahi-dast rahe

    har khilaune pe lapakne ki zarurat kya thi

    faras-e-umr hi apna hai bahut sust qadam

    warna 'ehsan' pe thoDi si masafat kya thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now