baat baDh jaane ke aasar se Dar lagta hai
baat baḌh jaane ke āsār se Dar lagtā hai
āj-kal garmī-e-guftār se Dar lagtā hai
ham ne māñgī thiiñ duā.eñ ki zamāna badle
ab hameñ vaqt kī raftār se Dar lagtā hai
jin meñ shāmil na ho mahbūb kā manshā-e-nazar
aise jazbāt ke iz.hār se Dar lagtā hai
jis ko da.avā ho bahut apnī ḳhirad-mandī kā
us ke uljhe hue afkār se Dar lagtā hai
aisā kuchh ho gayā duniyā-e-adab kā māhaul
ek fankār ko fankār se Dar lagtā hai
agle vaqtoñ ke haiñ ye log inheñ kuchh na kaho
zindagī chāhte haiñ pyaar se Dar lagtā hai
bandagī se vo bahut duur nahīñ haiñ 'yaktā'
aise munkir jinheñ inkār se Dar lagtā hai
baat baDh jaane ke aasar se Dar lagta hai
aaj-kal garmi-e-guftar se Dar lagta hai
hum ne mangi thin duaen ki zamana badle
ab hamein waqt ki raftar se Dar lagta hai
jin mein shamil na ho mahbub ka mansha-e-nazar
aise jazbaat ke izhaar se Dar lagta hai
jis ko dawa ho bahut apni KHirad-mandi ka
us ke uljhe hue afkar se Dar lagta hai
aisa kuchh ho gaya duniya-e-adab ka mahaul
ek fankar ko fankar se Dar lagta hai
agle waqton ke hain ye log inhen kuchh na kaho
zindagi chahte hain pyar se Dar lagta hai
bandagi se wo bahut dur nahin hain 'yakta'
aise munkir jinhen inkar se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.