baat be-baat pe sab shor machane lage hain
baat be-bāt pe sab shor machāne lage haiñ
sar pe sūraj hai magar diip jalāne lage haiñ
ham ne palkoñ pe sajā rakkhā thā jin ḳhvāboñ ko
ek ik kar ke sabhī ḳhvāb Thikāne lage haiñ
jin kī shiddat se zarūrat thī zamīñ ko vo log
āsmānoñ pe zamīñ chhoḌ ke jaane lage haiñ
tanz se un kī taraf dekhtī rahtī hai ye ḳhalq
'ishq meñ saarā asāsa jo luTāne lage haiñ
dekhte dekhte kyā ho ga.ī apnī duniyā
jo hañsāte the vahī log rulāne lage haiñ
ham se ḳhush duniyā hai ghar vaale bhī ḳhush haiñ ham se
she'r bhī kahte haiñ paise bhī kamāne lage haiñ
ham se katrā ke guzar jaate the sab ahl-e-nazar
ab jidhar jaate haiñ vo bhī udhar aane lage haiñ
bādshāhī kā hai ham meñ na faqīrī kā hunar
phir bhī kyoñ log hameñ milne ko aane lage haiñ
baat be-baat pe sab shor machane lage hain
sar pe suraj hai magar dip jalane lage hain
hum ne palkon pe saja rakkha tha jin KHwabon ko
ek ek kar ke sabhi KHwab Thikane lage hain
jin ki shiddat se zarurat thi zamin ko wo log
aasmanon pe zamin chhoD ke jaane lage hain
tanz se un ki taraf dekhti rahti hai ye KHalq
'ishq mein sara asasa jo luTane lage hain
dekhte dekhte kya ho gai apni duniya
jo hansate the wahi log rulane lage hain
hum se KHush duniya hai ghar wale bhi KHush hain hum se
she'r bhi kahte hain paise bhi kamane lage hain
hum se katra ke guzar jate the sab ahl-e-nazar
ab jidhar jate hain wo bhi udhar aane lage hain
baadshahi ka hai hum mein na faqiri ka hunar
phir bhi kyon log hamein milne ko aane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.