baat dil mein ho jo bhi kaha kijiye
baat dil meñ ho jo bhī kahā kījiye
dil hī dil meñ na yuuñ hī jalā kījiye
ġham meñ ḳhushiyoñ meñ shāmil rahā kījiye
haq paḌosī kā apne adā kījiye
koī shikva na koī gila kījiye
muskurā kar sabhī se milā kījiye
mere mahbūb se aa.ine ne kahā
dekh kar roz mujh meñ sajā kījiye
mere kūche se darvesh kahtā gayā
chāhte ho bhalā to bhalā kījiye
āfateñ mushkileñ duur ho jā.eñgī
panj-vaqta namāzeñ adā kījiye
garmī-e-ġham se anvar pareshān hai
maañ ke āñchal se ThanDī havā kījiye
baat dil mein ho jo bhi kaha kijiye
dil hi dil mein na yun hi jala kijiye
gham mein KHushiyon mein shamil raha kijiye
haq paDosi ka apne ada kijiye
koi shikwa na koi gila kijiye
muskura kar sabhi se mila kijiye
mere mahbub se aaine ne kaha
dekh kar roz mujh mein saja kijiye
mere kuche se darwesh kahta gaya
chahte ho bhala to bhala kijiye
aafaten mushkilen dur ho jaengi
panj-waqta namazen ada kijiye
garmi-e-gham se anwar pareshan hai
man ke aanchal se ThanDi hawa kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.