baat hum jab bhi saf karte hain
baat ham jab bhī saaf karte haiñ
log kyoñ iḳhtilāf karte haiñ
qābil-e-ehtirām haiñ vo log
dushmanoñ ko muaaf karte haiñ
bolte jab haiñ phuul se lahje
pattharoñ meñ shigāf karte haiñ
rashk aatā hai aise chehroñ par
jin kā shīshe tavāf karte haiñ
hausla ḳhuub hai charāġhoñ ko
jañg havā ke ḳhilāf karte haiñ
maiñ ne baḳhshī hai zindagī fan ko
ahl-e-fan e'tirāf karte haiñ
dil hai 'dānish' faqīr ka hujra
ġham yahāñ etakāf karte haiñ
baat hum jab bhi saf karte hain
log kyon iKHtilaf karte hain
qabil-e-ehtiram hain wo log
dushmanon ko muaf karte hain
bolte jab hain phul se lahje
pattharon mein shigaf karte hain
rashk aata hai aise chehron par
jin ka shishe tawaf karte hain
hausla KHub hai charaghon ko
jang hawa ke KHilaf karte hain
main ne baKHshi hai zindagi fan ko
ahl-e-fan e'tiraf karte hain
dil hai 'danish' faqir ka hujra
gham yahan etakaf karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.