baat ho dair-o-haram ki ya watan ki baat ho
baat ho dair-o-haram kī yā vatan kī baat ho
baat jab ho dostoñ husn-e-chaman kī baat ho
desh kī ḳhātir ḳhushī se jo luTā dete haiñ jaañ
un shahīdān-e-vatan ke bāñkpan kī baat ho
qaum-o-maz.hab kyā kisī kā aur kyā hai rañg-o-nasl
aisī bāteñ chhoḌ kar bas ilm-o-fan kī baat ho
'asr-e-hāzir ne hamārā dil bhī patthar kar diyā
lāzmī hai ab vafāoñ ke chalan kī baat ho
is ‘amal se zindagī ho jā.egī āsāñ bahut
aisā kuchh mat boliye jis meñ chubhan kī baat ho
ek hī rañgat hai sab ke ḳhuun kī to dosto
kyuuñ hamāre biich shaiḳh-o-barhaman kī baat ho
mil ke baiThe haiñ to yaaro ab sunā.eñ hāl-e-dil
kuchh tumhāre dil kī ho kuchh mere man kī baat ho
baat ho dair-o-haram ki ya watan ki baat ho
baat jab ho doston husn-e-chaman ki baat ho
desh ki KHatir KHushi se jo luTa dete hain jaan
un shahidan-e-watan ke bankpan ki baat ho
qaum-o-mazhab kya kisi ka aur kya hai rang-o-nasl
aisi baaten chhoD kar bas ilm-o-fan ki baat ho
'asr-e-hazir ne hamara dil bhi patthar kar diya
lazmi hai ab wafaon ke chalan ki baat ho
is ‘amal se zindagi ho jaegi aasan bahut
aisa kuchh mat boliye jis mein chubhan ki baat ho
ek hi rangat hai sab ke KHun ki to dosto
kyun hamare bich shaiKH-o-barhaman ki baat ho
mil ke baiThe hain to yaro ab sunaen haal-e-dil
kuchh tumhaare dil ki ho kuchh mere man ki baat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.