baat hone ko kya nahin hoti
baat hone ko kyā nahīñ hotī
ik qubūl iltijā nahīñ hotī
ishq kā kaam zulm sahnā hai
husn meñ go vafā nahīñ hotī
dil pe kar jaa.e jo asar tere
har sadā vo sadā nahīñ hotī
dil meñ khīñchtī to hai tirī tasvīr
kuchh magar der-pā nahīñ hotī
yaad terī bhulā.eñ to lekin
dil se zālim judā nahīñ hotī
sirf mujh se ḳhatā.eñ hotī haiñ
un se koī ḳhatā nahīñ hotī
ishq hai āfat-e-musalsal 'mauj'
ishq kī intihā nahīñ hotī
baat hone ko kya nahin hoti
ek qubul iltija nahin hoti
ishq ka kaam zulm sahna hai
husn mein go wafa nahin hoti
dil pe kar jae jo asar tere
har sada wo sada nahin hoti
dil mein khinchti to hai teri taswir
kuchh magar der-pa nahin hoti
yaad teri bhulaen to lekin
dil se zalim juda nahin hoti
sirf mujh se KHataen hoti hain
un se koi KHata nahin hoti
ishq hai aafat-e-musalsal 'mauj'
ishq ki intiha nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.